Friday, October 7, 2011

Maa

Aaj baithe baithe kuch yaadein tazza ho gayi...
jab main pehle baar cycle se gira aur aap daud ke mere pass aayi...
aur papa ko daant diya...
jab main pehli baar stage pe poem bolne gaya...
tab sabse pehle khade hoke taali aapne bajayi...
jab class mein fail ho gaya toh sirf aapne kandhe pe haath rakh kar kaha tha "koi nahi.. agli baar aur mehnat karna"
Jab hostel gaya tab maine aapko kitchen mein rotte hue dekha tha..
Jab koi nahi hota tha.. tab aap hi hoti ho mere saath..
choti choti baatein gum si ho gayi is bhaag daud bhari zindagi mein...
par na jaane har pal yeh rista aur ghera hota gaya.. maa you are the best thing happened to me..
When nobody around me or whenever i feel low.. i just close my eyes and think of you..
those few moments give me strength and courage..
I love you Maa..

Tuesday, September 27, 2011

Our Kiss

We kissed when we first met..
we kissed on our first date..
we kissed when i fractured my leg..
we kissed when when i got the job..

We kissed when i bought the new flat..
we kissed when we got engaged..
we kissed when we got the new car..

we kissed when she was expecting..
we kissed when that couldn't happen..
we kissed when we were sad..
we kissed when time was bad..

we kissed when she was not well..
we kissed when she was admitted to hospital..

That day, she handed me a box on which "my kisses" was written..
She said in very low voice "My kisses for you when i will not be there with you..."

Then she kissed me on my cheeks.. and said.."Goodbye.."
I didn't Said anything but cried...

Wednesday, August 31, 2011

नींद

Woh hamesha samajte rahe ki hum raat bhar soye nahi,
Woh yeh sochte rahe ki unse baatein karna humari aadat hai,
Woh samje ki woh hamare liye sirf ek dost hai,
Koi unhe neend se jaga de...

Kabhi is haste chehre ke peeche unhone dekha nahi,
Nachte gaaate the to hum pe taaliyan baaje ke chal diye.

Aapno mein naam ke liye unhone kabhi humse kuch na pucha,
Jis naav mein hum is jeevan sagar ko par karna chahte the woh us naav ko hi meta baithe.
Unki haan ab humari haan ban chuki thi,
Fir bhi woh kabhi humme samaj na sakke.
Koi to unhe ab neend se jaaga do..

Sab kehte hai uparwale ke yahan der hai undher nahi,
is der mein kitne jeevan nikal gaye.. is intezaar mein main bhi nikal jaunga..
Koi us uparwale ko neend se jaga de..

Aaj jab main khud uthna chahte hoon to itni taklif kyon ho rahi hai,
Mujhe in bandhno ki aadat si kyon ho gaye hai,
Ab to mujhe bhi neend aane lagi hai..
Dekhna bhai koi neend se utha na de...

Thursday, August 4, 2011

Kasam se

Woh humme zindagi ke khali panno mein talashte reh gaye,
Hum to kitabon se bahar nikal kar khud ki duniya bana baithe.

Woh lamhe na bhool payenge zindagi ke,
jis pal mein tum dushman ko mere apni jaan bana baithe.

Har mod pe yaad aayenge sitam tere,
Isi bahane jee uthenge rukhsat ke pal saare.

Bahut samjaya tha bejaan dil ko, na marti na marne dete hai,
poocha to kehti hai kya laash bhi kabhi hasti hai.

Ab na dard hai na hai behoshi,
Tumhare jaane se ab hum hosh mein rehte hai...

Kasam se.. Tumhe dil se shukriya kehte hai...

Friday, February 18, 2011

Par aaj....

Iss andhere mein simti raat ki chadar ko hataya to paaya..
Ki aaj maan thoda udaas hai…thoda maaus bhi hai…
Har lamha thoda sa bhari hai..
Ghar bahut bada hai..
Par saath baithne ke liye koi nahi…

Achanak khule in darwajoon se daar lag raha hai aaj..
Ek ajeeb si khamoshi hai iss raat mein aaj..
Jashn manane ke kai bahane hai..
Par koi gale lagane ko nahi

Dost to bahut hai ginane ko..
Par aaj yaar kehne ko koi nahi…

Abhi abhi kisi se baat karne ko maan kiya..
Par usne meri is dastak ka koi jawab nahi diya…
Yahi soch kar bahut dino baad..
Kuch waqt apne aap ke naam kar diya..
Par aaj akele jeene ka dil nahin..

Kaafi samay ho gaya hai ghadi mein…
Koi to yeh samjaye..
Bas kuch der aur baaki hai is raat mein..
Subah ki kirne moti banker bikhregi..
Tabhi shayad yeh udaasi hategi..
Tab tak is chadar ko oudh kar…
Fir se simat jaata hoon..
Par aaj Soone ka maan nahi….