Wednesday, August 31, 2011

नींद

Woh hamesha samajte rahe ki hum raat bhar soye nahi,
Woh yeh sochte rahe ki unse baatein karna humari aadat hai,
Woh samje ki woh hamare liye sirf ek dost hai,
Koi unhe neend se jaga de...

Kabhi is haste chehre ke peeche unhone dekha nahi,
Nachte gaaate the to hum pe taaliyan baaje ke chal diye.

Aapno mein naam ke liye unhone kabhi humse kuch na pucha,
Jis naav mein hum is jeevan sagar ko par karna chahte the woh us naav ko hi meta baithe.
Unki haan ab humari haan ban chuki thi,
Fir bhi woh kabhi humme samaj na sakke.
Koi to unhe ab neend se jaaga do..

Sab kehte hai uparwale ke yahan der hai undher nahi,
is der mein kitne jeevan nikal gaye.. is intezaar mein main bhi nikal jaunga..
Koi us uparwale ko neend se jaga de..

Aaj jab main khud uthna chahte hoon to itni taklif kyon ho rahi hai,
Mujhe in bandhno ki aadat si kyon ho gaye hai,
Ab to mujhe bhi neend aane lagi hai..
Dekhna bhai koi neend se utha na de...

No comments: