Wednesday, March 20, 2013

Gujra Waqt

Bahut kuch badal sa gaya hai is gujre waqt mein.. Thami si zindagi ne na jaane kaha dum tood diya.. Ek rishton ka hi sahara tha bas baaki… Uss gaath ko bhi koi khol gaya.. Log kehte hai the ki janab bahut badiya ghar hai aapka.. Andar se dil kehta ki aalishan gharhon mein bhi silan padti hai… Aur neev sahi na ho toh deewaron mein daararein bhi aati hai.. Bahut kuch badal sa gaya hai iss gujre wat mein.. Pehle paraiyon ko humne samay nahi diya apno ke liye.. Ab wohi apne hume samay nahi dete paraioon ke liye… Kuch pal ki khushiyon dekhne yeh maan ab uchal sa jaata hai.. Kitno ka maan rakhne ke liye aaj apne maan ko majboor kar baithe.. Aaj bhi who din yaad jab poora din hassi khushi nikal jaata tha.. Ab toh pal pal suraj or chaand se baatein kiya karte hai… In phoolon ko.. in patto ko.. Chotti chooti gilariyon ko.. aate jaate rahgiron ko Apna hal-e-jeevan sunaya karte hai.. Bahut kuch badal sa gaya hai iss gujre waqt mein..

No comments: