Kuch saal baad, dil mein kuch dastak si hui,
Kisi ne itefaq se mujhse nazar milai,
Yeh khwab hai ya haqiqat.. is baat ka mujhe koi andesha nahin...
Uske yun pass aane se,
Khushi mein khilkhilane se,
Bewajah gaane se,
Chehre se balon ko kaan ke peeche karne se,
Uski aahat bhar se meri nazar uthne se,
Yakin hota hai ki yeh khwab nahi...itefaq bhi nahin..yeh haqiqat hai..
Par sach mein kuch saalon baad aisa fir se hua hai...
Unke muskurane mein..
Unke haath milane mein,
Mere kandhe pe haath rakhne mein...
na jaane kab yeh dil ud jaata hai..badlon ko cheer ke..dusri duniya mein..
jahan mein hoon... woh hai.. aur ek khobsurat si duniya...
Yeh khwab hai mera unke liye..
Jinke aane se abhi abhi..
is dil mein kuch hua hai..
Itefaq se unke saath maine har pal jiya hai..
Kuch saalon baad aisa fir se hua hai...
No comments:
Post a Comment