Monday, October 4, 2010

Kahani meri

Kahani meri kaise main baya karu,
Har mod pe ek therav hai,
Har mod pe ek toofan hai,
Naye chehre hain,
Naye imtihan hai.
Kuch shaksiyat hi aise hai,
Chehre pe muskan hai.
Yeh kahani bas meri hai.

Nadani ki god mein jab simta tha,
To har chehre ko mujh pe garv tha.
Umr choti thi par sapne bade.
Samay badla, umr badi to sapne bhi bade.
Garv na tha ab ashayein thi un ankhon mein.
Pehla pyar bhi ho gaya,
Ab bacha nahi kuch ladkhdane mein.

Log kehte the ek din beta baap ka naam roshan karega,
Hum tution class ke bahar haath pakad ke kehte “Love ke liye apun kuch bhi karega”.

Umr aur badi, sapne nahi ab daud ho gayi badi,
Sharma ji ka beta Doctor, Mishra ji ka Engineer,
Waise mera bhi yehi khawab tha,
Par ghar mein mera naam ab Nawab sahab tha.

Har umr ke mod pe maine khud ko pechana hai.
Roz naye imtihanon se, apne dil aur dimag se, manzil ki raah pe bheed bhad se,
Ladkar.. Samajkar maine yeh jaana..
Ki yeh toofan ek din ho jayega kam,
Yeh therav ho jayenge kam.

Khush hota hoon aaj jab koi kehta hai..
“Main na kehta tha beta baap ka naam roshan karega”…

No comments: