Sunday, October 3, 2010

Safar

Chal diya us raah par, jiske manzil ka koi thikana nahi,
Aankhen hai rasta napne ko aur do paon hai hosla badane ko.

Kuch is tarah daraya unhone, ki duniya hi nahi jaha meri raah hai,
Manzil nahin bas gumnami ka dariya hai.
Jo mooh se na bol paye unhone hatoon se samjaya..
Fir bole ab bata kaise jayega,
Maine kaha... Aankhen hai rasta napne ko aur do paon hai hosla badane ko.

Kashmakash mein the na janne kab manzil paunga, aaj nahi to kal main wahan pahuch jaunga.
Meri bechani dekhar yeh dagar khud bol uthi...
aree pagal, Manzil to teri woh hai jis din tu mujhme samayega...
Peeche mud ke dekh kitna ujala hai.. tu aage andhere mein kahan khush reh payega...
Thoda sa tu jhuk ja... jeevan bhar khushiyan aur chehre pe muskan payega..

Ek pal na laga mujhe samajhne mein... nayi manzilein paane ke liye, jeevan ka har mukam peeche chood diya...
Fir kya tha main wapas chal diya ujale mein..
par iss baar bhi...Aankhen hai rasta napne ko aur do paon hai hosla badane ko.

No comments: