Monday, January 9, 2012

Bachpan ke din..

Bachpan ke din bhi kya ajeeb din the,
Papa ke kandhe sabse uchne lagte the,
Mummy ki good mein ek pal mein neend aa jati thi,
Jab pocket money mein poora mahina nikal jata,
Aur doston ke liye waqt roz apne aap mil jata tha.

Woh din bhi kya din the,
Jab sach aur jhoot ka faisla "mummy kasam" se hota tha,
Jab dil se jeete the, aur dimag ka kuch pata nahi tha,

Woh din bachpaan ke badde ajeeb the,
Jab hum sabse ameer hua karte the,
Panni mein apne bhi do-teen jahaj chala karte the,
Jab 2 rs ki kulfi khake chehre pe smile aa jati thi,
Aur ek thapad se ganga-jamuna beh jaati thi.

Woh din bhi kya din the,
Jab unko dekh ke khush ho jate the,
Cycle ko unke ghar ke bahar roz ghumaya karte the,
Baat karne ki himmat na thi,
Par doston mein tashan dikhaya karte the,

Woh din bhi kya din the jab hum masoom si baatein kiya karte the...

No comments: