Monday, January 2, 2012

Zindagi

Suljhi si lagge zindagi meri teri bahaoon mein,
Gum hai kahin gummon ke nishan tere aane se,
Hawaon se karta hoon mein teri baatein, ab khulke muskurake ke,
Tu na samjhiyen huun mein kehendiyasi,
Rab ki dua hai tu, Khaali saasein zindagi hai tere hone mein.

Mere saath bol uthi hai yeh dishayein,
Tere pyar mein, ho gaya hoon main banwara,
Na samjhiyen yeh zamana- na jaaniyen yeh Zamana,
Kho sa gaya hoon mein tujhme banke ek anjana deewana.

Aaj mujhko tu khud mein khon jaane de,
Zara sa tu apna ban jaane de,
Na khalish tere inkar mein,
Na dard hai tere ruth jaane mein,
Jogi sa ban gaya hoon..
Ab rab ko mujhe apne pass bulane de...

Tab suljhi si thi zindagi hamari ek-dusre ki bahaon mein,
yaad karna ab mujko tu teri kali- khalli raaton mein,
Ban ke sitara dekhunga tujhe,
Door hoke bhi zindagi savarunga teri, main apni yaadon se..

No comments: